Jaleel 'Aali'

raat jo mauj-e-hawa ne gul se dil ki baat kahi

Jaleel 'Aali'

Amritsar, Punjab, India

1945
raat jo mauj-e-havā ne gul se dil kī baat kahī
ik ik barg-e-chaman ne kaisī kaisī baat kahī
āñkheñ rañg ba-rañg saje rastoñ sarshār huiiñ
dil kī ḳhalish ne manzar manzar ek hī baat kahī
har iz.har kī tah meñ ek hī ma.ānī pinhā the
apnī taraf se sab ne apnī apnī baat kahī
aaj bhī harf o bayāñ ke sab paimāne hairāñ haiñ
kaise ġhazal ne do satroñ meñ puurī baat kahī
sīdhe-sāde se lafzoñ meñ kahnā mushkil thā
is liye to aisī aaḌī tirchhī baat kahī
tum kyuuñ apnī marzī ke mafhūm nikālo ho
utnā hī matlab hai hamārā jitnī baat kahī
tum bhī to mazmūn-tarāshī meñ masrūf rahe
tum ne bhī to 'ālī' kam kam aslī baat kahī
Top Urdushayar.com