Jaleel 'Aali'

juda juda sab ke KHwab tabir ek jaisi

Jaleel 'Aali'

Amritsar, Punjab, India

1945
judā judā sab ke ḳhvāb ta.abīr ek jaisī
hameñ azal se milī hai taqdīr ek jaisī
har ik kitāb-e-amal ke unvān apne apne
varaq varaq par qazā kī tahrīr ek jaisī
guzarte lamhoñ se naqsh kyā apne apne pūchheñ
in ā.inoñ meñ har ek tasvīr ek jaisī
tirī shararbāriyoñ mirī ḳhāksāriyoñ kī
havā kabhī to karegī tash.hīr ek jaisī
ye tai huā ek baar sab aazmā ke dekheñ
najāt-e-qalb-o-nazar kī tadbīr ek jaisī
diloñ ke zamzam se dhul ke niklī huī sadā.eñ
samā.atoñ meñ jagā.eñ tāsīr ek jaisī
Top Urdushayar.com