Jaleel 'Aali'

tumhaara kya tumhein aasan bahut raste badalna hai

Jaleel 'Aali'

Amritsar, Punjab, India

1945
tumhārā kyā tumheñ āsāñ bahut raste badalnā hai
hameñ har ek mausam qāfile ke saath chalnā hai
bas ik Dhalvān hai jis par luḌhakte jā rahe haiñ ham
hameñ jaane nasheboñ meñ kahāñ jā kar sambhalnā hai
ham is Dar se koī sūraj chamakne hī nahīñ dete
ki jaane shab ke añdhiyāroñ se kyā manzar nikalnā hai
hamāre dil-jazīre par utartā hī nahīñ koī
kaheñ kis se ki is miTTī ne kis sāñche meñ Dhalnā hai
nigāheñ pūchhtī phirtī haiñ āvāra havāoñ se
zamīnoñ ne zamānoñ kā ḳhazāna kab ugalnā hai
kisī ma.asūm se jhoñke kī ik halkī sī dastak par
inhī patthar pahāḌoñ se koī chashma ubalnā hai
Top Urdushayar.com