Jaleel 'Aali'

phir ek dagh charagh-e-safar banate hue

Jaleel 'Aali'

Amritsar, Punjab, India

1945
phir ek daaġh charāġh-e-safar banāte hue
nikal paḌe haiñ na.ī rah-guzar banāte hue
vo jast bhar ke havā ho gayā magar na khulā
maiñ kis navāh meñ thā us ke par banāte hue
nikal sakī na koī aur sūrat-e-tasvīr
bahā.e ashk bahut chashm-e-tar banāte hue
vo qahr barhamī-e-baḳht hai ki Darte haiñ
girā na leñ kahīñ dīvār dar banāte hue
qadam qadam pe sazā de rahā hai vaqt hameñ
hamāre aib udū ke hunar banāte hue
to zindagī ko ji.eñ kyuuñ na zindagī kī tarah
kahīñ pe phuul kahīñ par sharar banāte hue
Top Urdushayar.com