Jaleel 'Aali'

aankh mein partaw-e-mahtab salamat rah jae

Jaleel 'Aali'

Amritsar, Punjab, India

1945
aañkh meñ partav-e-mahtāb salāmat rah jaa.e
koī sūrat ho ki ik ḳhvāb salāmat rah jaa.e
roz Dahe jaa.e ye haarā tan o jaañ kā lekin
Dher meñ ik dil-e-be-tāb salāmat rah jaa.e
vo kisī ḳhair ḳhazāne kī ḳhabar detā hai
jo safīna pas-e-sailāb salāmat rah jaa.e
dil kisī mauj-e-junūñ meñ jo lahū se likh de
aisī tahrīr sar-e-āb salāmat rah jaa.e
pyaar vo peḌ hai sau baar ukhāḌo dil se
phir bhī siine meñ koī daab salāmat rah jaa.e
laakh vo shauq-sahīfoñ ko jalā leñ 'ālī'
raakh meñ ek na ik baab salāmat rah jaa.e
Top Urdushayar.com