Jaleel 'Aali'

ek hamin silsila-e-shauq sambhaale hue hain

Jaleel 'Aali'

Amritsar, Punjab, India

1945
ik hamīñ silsila-e-shauq sambhāle hue haiñ
vo to sab ahd-e-vafā hashr pe Taale hue haiñ
valvale dil ke sambhalte hī nahīñ siine meñ
jaane kis chāñd ke ye bahr uchhāle hue haiñ
qariya-e-ḳhvāb ki jis nuur nahāyā huā hai
ham usī se ye shab o roz ujāle hue haiñ
vaqt duniyā meñ phirātā hai dinoñ ko kyā kyā
dekh jo koh the vo ruuī ke gaale hue haiñ
tū mile yā na mile jo ho muqaddar apnā
kyā ye kam hai ki tire chāhne vaale hue haiñ
gūñdh kar Dhaal kisī sūrat-e-yaktā.ī meñ
jaan o tan qalb o nazar tere havāle hue haiñ
Top Urdushayar.com