Jaleel 'Aali'

ye shab o roz jo ek be-kali rakkhi hui hai

Jaleel 'Aali'

Amritsar, Punjab, India

1945
ye shab o roz jo ik be-kalī rakkhī huī hai
jaane kis husn kī dīvāngī rakkhī huī hai
vo jo ik mauj-e-mohabbat tire ruḳh par jhalkī
aañkh meñ aaj bhī us kī namī rakkhī huī hai
vaqt detā hai jo pahchān to ye dekhtā hai
kis ne kis dard meñ dil kī ḳhushī rakkhī huī hai
aatī rahtī haiñ ajab aks o sadā kī lahreñ
mere hisse kī kahīñ shā.irī rakkhī huī hai
dasht kī chup se ubhartī haiñ sadā.eñ kyā kyā
bahr ke shor meñ kyā ḳhāmushī rakkhī huī hai
koī dhun hai pas-e-iz.hār safar meñ jis ne
merī ġhazloñ kī fazā aur sī rakkhī huī hai
kam kahā aur sujhāyā hai zyāda 'ālī'
ek ik satr meñ ik an-kahī rakkhī huī hai
Top Urdushayar.com