Jaleel 'Aali'

kya rabt ek dard se bante chale gae

Jaleel 'Aali'

Amritsar, Punjab, India

1945
kyā rabt ek dard se bante chale ga.e
jañgal meñ jaise rāste bante chale ga.e
kaḌiyāñ kaḌī quyūd kī baḌhtī chalī ga.iiñ
hiile rah-e-najāt ke bante chale ga.e
hoñToñ pe khil uThā to huā dāġh-e-dil duā
kyā kyā suḳhan ke silsile bante chale ga.e
kis sūrat-e-sabāt pe Thahrī nigāh-e-dil
ik raqs-e-rau meñ TūTte bante chale ga.e
bote rahe lahū ke diye ham zamīn meñ
ḳhurshīd āsmān pe bante chale ga.e
'ālī' muqāble kā na koī udū rahā
ham aap apne dūsre bante chale ga.e
Top Urdushayar.com