Jaleel 'Aali'

ek aawara sa lamha kya qafas mein aa gaya hai

Jaleel 'Aali'

Amritsar, Punjab, India

1945
ik āvāra sā lamha kyā qafas meñ aa gayā hai
lagā jaise zamāna dastaras meñ aa gayā hai
ye kis koñpal khulī saa.at sadā dī hai kisī ne
rutoñ kā ras har ik taar nafas meñ aa gayā hai
ham us kūche se nisbat kī ḳhushī kaise sambhāleñ
hamārā naam us ke ḳhār-o-ḳhas meñ aa gayā hai
lahū meñ lau kahāñ maujūd zinda rābte kī
nibhāne ko faqat be-rūh rasmeñ aa gayā hai
anā ke faisle kyā marzi-e-pindār kaisī
mirā honā na honā us ke bas meñ aa gayā hai
utar aa.e un āñkhoñ meñ kuchh aise aks 'ālī'
ki dil phir se giraft-e-pesh-o-pas meñ aa gayā hai
Top Urdushayar.com