Jaleel 'Aali'

masafaten kab guman mein thin safar se aage

Jaleel 'Aali'

Amritsar, Punjab, India

1945
masāfateñ kab gumān meñ thiiñ safar se aage
nikal ga.e apnī dhun meñ us ke nagar se aage
shajar se ik umr kī rifāqat ke silsile haiñ
nigāh ab dekhtī hai barg o samar se aage
ye dil shab o roz us kī galiyoñ meñ ghūmtā hai
vo shahr jo bas rahā hai dasht-e-nazar se aage
ḳhajil ḳhayāloñ kī bhiiḌ hairat se tak rahī hai
guzar gayā rah-rav-e-tamannā kidhar se aage
tilism-e-aks-o-sadā se nikle to dil ne jaanā
ye harf kuchh kah rahe haiñ arz-e-hunar se aage
nisār un sā.atoñ pe sadiyoñ ke sahar 'ālī'
jiye haiñ jin ke jilo meñ shaam o sahar se aage
Top Urdushayar.com