Jaleel 'Aali'

apne hone ki ihanat nahin hum kar sakte

Jaleel 'Aali'

Amritsar, Punjab, India

1945
apne hone kī ihānat nahīñ ham kar sakte
so tirī yaad se ġhaflat nahīñ ham kar sakte
dil meñ laate nahīñ dushman se bhī nafrat kā ḳhayāl
is se kam koī ibādat nahīñ ham kar sakte
duur rahte haiñ takabbur kī havā se lekin
ijz ko ġhāfil-e-ġhairat nahīñ ham kar sakte
maslahat sahar bahut phūñktī phirtī hai bhare
kam qad-o-qāmat-e-vahshat nahīñ ham kar sakte
Dher tafrīh-e-tan-o-jāñ ke lagā do jitne
tark ik dard kī daulat nahīñ ham kar sakte
chhoḌ sakte haiñ ye sab sehn-o-dar-o-bām-e-jahāñ
qariya-e-ḳhvāb se hijrat nahīñ ham kar sakte
tum zamīñ par jo ḳhudā bante chale jaate ho
kyā samajhte ho baġhāvat nahīñ ham kar sakte
jis ravish bhī ho ravāñ ġhol-e-zamānā 'ālī'
aap se koī ri.āyat nahīñ ham kar sakte
Top Urdushayar.com