zarā sī baat par said-e-ġhubār-e-yās honā
hameñ barbād kar degā bahut hassās honā
musalsal koī sargoshī humaktī hai lahū meñ
mayassar hī nahīñ hotā par apne paas honā
sabhī sīnoñ meñ terī naubatoñ kī guuñj lekin
tirī dhun kā kisī dil kī navā-e-ḳhās honā
hamārī shauq-rāhoñ par kabhī dekhegī duniyā
tumhāre pattharoñ kā gauhar o almās honā
idhar bhī to use ik din uThānī haiñ nigāheñ
hameñ bhī to kabhī hone kā hai ehsās honā
kisī mausam to apne bādbānoñ par bhī 'ālī'
likheñge āshnā jhoñke havā kā raas honā