jism ke ḳhol se niklūñ to qazā ko dekhūñ
but ko raste se haTā.ūñ to ḳhudā ko dekhūñ
aisā kyā jurm huā hai ki taḌapte marte
apne ehsās kī suulī pe anā ko dekhūñ
boltī aañkh kā ras hañste hue lafz kā ruup
baat nazroñ kī sunūñ yā ki sadā ko dekhūñ
in kī qismat ki khileñ roz tamannā ke gulāb
merī taqdīr ki zaḳhmoñ kī chitā ko dekhūñ
is tavaqqo pe ki shāyad koī darvesh mile
ġhaur se shahar ke ek ek gadā ko dekhūñ
mujh ko tahzīb ke maktab ne sikhāyā hai yahī
taḳhtī-e-dil na paḌhūñ rañg-e-qabā ko dekhūñ