Jaleel 'Aali'

shaKH-e-be-numu par bhi aks-e-gul jawan rakhna

Jaleel 'Aali'

Amritsar, Punjab, India

1945
shāḳh-e-be-numū par bhī aks-e-gul javāñ rakhnā
aa gayā hameñ aalī dil ko shādmāñ rakhnā
be-falak zamīnoñ par raushnī ko tarsoge
soch ke darīchoñ meñ koī kahkashāñ rakhnā
rah-rav-e-tamannā kī dāstāñ hai bas itnī
sub.h o shaam ik dhun meñ ḳhud ko nīm-jāñ rakhnā
kār-o-bār-e-duniyā meñ ahl-e-dard kī daulat
suud sab luTā denā paas har ziyāñ rakhnā
us kī yaad meñ ham ko rabt o zabt girya se
shab lahū lahū rakhnī din dhuāñ dhuāñ rakhnā
ishq ḳhud sikhātā hai saarī hikmateñ 'ālī'
naqd-e-dil kise denā bār-e-sar kahāñ rakhnā
Top Urdushayar.com