Jaleel 'Aali'

ajab asbab karta ja raha hun

Jaleel 'Aali'

Amritsar, Punjab, India

1945
ajab asbāb kartā jā rahā huuñ
lahū sīmāb kartā jā rahā huuñ
maiñ apnī mauj meñ ik raqs-e-dīgar
sar-e-girdāb kartā jā rahā huuñ
azal se jāgtī āñkhoñ jahāñ meñ
basar ik ḳhvāb kartā jā rahā huuñ
sar-e-mizhgāñ ubhartā hai jo taarā
use mahtāb kartā jā rahā huuñ
jo dil ik umr se banjar paḌe the
unheñ sairāb kartā jā rahā huuñ
maiñ rāh-e-shauq kī har kañkarī ko
dur-e-nāyāb kartā jā rahā huuñ
vo ejāz-e-suḳhan baḳhshā hai us ne
chaTāneñ aab kartā jā rahā huuñ
Top Urdushayar.com