Jaleel 'Aali'

subut-e-ishtiyaq-e-ham-rahi lao to aao

Jaleel 'Aali'

Amritsar, Punjab, India

1945
subūt-e-ishtiyāq-e-ham-rahī laao to aao
hisār-e-zāt se bāhar nikal paao to aao
zamānoñ se faqat lahreñ gumānoñ kī gino ho
kisī din tum ye dariyā paar kar jaao to aao
had-e-ḳhvāhish meñ jiinā hai to jaao raah apnī
na dasht-e-shauq kī vus.at se ghabrāo to aao
ajab be-iḳhtiyārāna thī har aamad tumhārī
isī mauj-e-mohabbat meñ kabhī aao to aao
ye durveshoñ kī duniyā hai karishme is ke dekho
jahāñ se hī nahīñ ḳhud se bhī uktāo to aao
rifāqat ahl-e-ġham kī ik nashāt-e-muḳhtalif hai
jo rakhte ho jigar meñ dard kā ghaao to aao
hameñ is hikmat-e-daurāñ kā ik nukta bahut hai
agar dhun hai ulaT deñ vaqt ke daao to aao
Top Urdushayar.com