Jaleel 'Aali'

ye jo alfaz ko mahkar banaya hua hai

Jaleel 'Aali'

Amritsar, Punjab, India

1945
ye jo alfāz ko mahkār banāyā huā hai
ek gul kā ye sab asrār banāyā huā hai
soch ko suujh kahāñ hai ki jo kuchh kah paa.e
dil ne kyā kyā pas-e-dīvār banāyā huā hai
pair jaate haiñ ye dariyā-e-shab-o-roz aksar
baaġh ik sair ko us paar banāyā huā hai
shauq-e-dahlīz pe be-tāb khaḌā hai kab se
dard gūñdhe hue haiñ haar banāyā huā hai
ye to apnoñ hī ke charkoñ kī sulag hai varna
dil ne har aag ko gulzār banāyā huā hai
toḌnā hai jo ta.alluq to tazabzub kaisā
shāḳh-e-ehsās pe kyā baar banāyā huā hai
jaañ khapāte haiñ ġham-e-ishq meñ ḳhush ḳhush 'ālī'
kaisī lazzat kā ye āzār banāyā huā hai
Top Urdushayar.com