zindagī zinda hai lekin kisī dam-sāz ke saath
varna yuuñ jaise kabūtar koī shahbāz ke saath
bijliyāñ saath liye zahr bhare lamhoñ kī
vaqt chaltā hai zamāne meñ kis andāz ke saath
āsmāñ jaane kahāñ le ke chalā hai mujh ko
uupar uThtā hai barābar mirī parvāz ke saath
aaj tanhā huuñ to kyaa, dekhtā rahnā kal tak
aur āvāzeñ bhī hoñgī mirī āvāz ke saath
ek āġhāz ubhartā hai har anjām ke ba.ad
ek anjām bhī paltā hai har āġhāz ke saath
ek lamha ki garāñ hai mujhe tanhā.ī meñ
ek duniyā ki javāñ hai mire hamrāz ke saath