kab kaun kahāñ kis liye zanjīr-bapā hai
ye uqda-e-asrār-e-azal kis pe khulā hai
kis bhes koī mauj-e-havā saath lagā le
kis des nikal jaa.e ye dil kis ko patā hai
ik haath kī duurī pe haiñ sab chāñd sitāre
ye arsha-e-jāñ kis dam-e-dīgar kī atā hai
āhañg-e-shab-o-roz ke nairañg se aage
dil ek gul-e-ḳhvāb kī ḳhushbū meñ basā hai
ye shahr-e-tilismāt hai kuchh kah nahīñ sakte
pahlū meñ khaḌā shaḳhs farishta ki balā hai
har soch hai ik gumbad-e-ehsās meñ gardāñ
aur gumbad-e-ehsās meñ dar harf-e-duā hai
ye diid to rūdād-e-hijābāt hai 'ālī'
vo māh-e-mukammal na ghaTā hai na baḌhā hai