ik aisī an-kahī tahrīr karne jā rahā huuñ
hunar ko aur bhī gambhīr karne jā rahā huuñ
mire ehsās meñ bechain jis ke ḳhāl-o-ḳhad haiñ
use har aañkh meñ tasvīr karne jā rahā huuñ
maiñ farhād-e-ma.ānī tīsha-e-harf-o-bayāñ se
suḳhan kī jhiil jū-e-shīr karne jā rahā huuñ
diloñ ke darmiyāñ rastoñ meñ kitne ḳham paḌe haiñ
maiñ un ko phir se sīdhā tiir karne jā rahā huuñ
vo jis meñ be-navāoñ ke lahū kī surḳhiyāñ haiñ
kulāh-e-shāh līr-o-līr karne jā rahā huuñ
mujhe zanjīrnā hai apne hisse kā zamāna
so apne aap ko tasḳhīr karne jā rahā huuñ
sadā tābīr-dar-tābīr jo rakkhe safar meñ
maiñ vo ḳhvāb-e-digar tāmīr karne jā rahā huuñ