mujhe ḳhushī hai mirī us se rasm-o-rāh nahīñ
vo shaḳhs dil se kisī kā bhī ḳhair-ḳhvāh nahīñ
sabhī ḳhamosh haiñ aapas kī dushmanī meñ yahāñ
kisī kī be-gunahī kā koī gavāh nahīñ
vo mansaboñ kī havā meñ hai kisī tarah samjhe
ġhulām shahr meñ koī bhī kaj-kulāh nahīñ
ham apne shauq diyoñ kī salāmtī chāheñ
kisī ke anjum-o-mahtāb par nigāh nahīñ
anā ke mol na taḳht-e-shahī bhī le aa.eñ
vagarna kis ko tamannā-e-nām-o-jāh nahīñ