use dil se bhalā denā zarūrī ho gayā hai
ye jhagḌā hī miTā denā zarūrī ho gayā hai
lahū barfāb kar degī thakan yaksāniyat kī
so kuchh fitne jagā denā zarūrī ho gayā hai
girā de ghar kī dīvāreñ na shorīda-sarī meñ
havā ko rāsta denā zarūrī ho gayā hai
bahut shab ke havā-ḳhvāhoñ ko ab khulne lage haiñ
diyoñ kī lau ghaTā denā zarūrī ho gayā hai
bharam jaa.e ki jaa.e raah par aa.e na aa.e
use sab kuchh batā denā zarūrī ho gayā hai
maiñ kahtā huuñ ki jaañ hāzir kiye detā huuñ lekin
vo kahte haiñ anā denā zarūrī ho gayā hai
ye sar shānoñ pe ab ik bojh kī sūrat hai 'ālī'
sar-e-maqtal sadā denā zarūrī ho gayā hai