havā bhī zor pe thī tez thā bahāv bhī
laḌī hai ḳhuub magar kāġhzī sī naav bhī
abhī se haath chhuḌāte ho vāpsī ke liye
jo chal paḌe ho to phir saath saath aao bhī
jise jahāñ kī ravish duur le ga.ī us ko
qarīb lā na sakīñ tum mirī vafāo bhī
bañdhā rahā bahar-andāz halqa-e-yārāñ
havā hai sard kahīñ dard kā alaav bhī
bajā ki merī tabī.at bhī lā-ubālī thī
pa zūd-ranj thā duniyā tirā subhāv bhī
ibādatoñ kī sharābeñ bhī pī chukā lekin
sukūn de na sake tum mire ḳhudāo bhī