rāsta sochte rahne se kidhar bantā hai
sar meñ saudā ho to dīvār meñ dar bantā hai
aag hī aag ho siine meñ to kyā phuul jhaḌeñ
shola hotī hai zabāñ lafz sharar bantā hai
zindagī soch azāboñ meñ guzārī hai miyāñ
ek din meñ kahāñ andāz-e-nazar bantā hai
mudda.ī taḳht ke aate haiñ chale jaate haiñ
shahr kā taaj koī ḳhāk-basar bantā hai
ishq kī raah ke meyār alag hote haiñ
ik judā zā.icha-e-nafā-o-zarar bantā hai
apnā iz.hār asīr-e-ravish-e-ām nahīñ
jaise kah deñ vahī meyār-e-hunar bantā hai