Shumama Ufuq

koi bhi saman nahin hai ab meri hairani ko

Shumama Ufuq

1992
koī bhī sāmān nahīñ hai ab merī hairānī ko
ātish-dān meñ pheñk diyā hai ik ḳhat likh kar paanī ko
kirdāroñ kī khep bulā kar kyā tasvīr banāoge
ek kahānī se dhāñpoge kis kis kī uryānī ko
un se pūchho jin par guzre lamhe asl qayāmat ke
log to hijrat kah dete haiñ har ik naql-e-makānī ko
ham ne jis lamhe sauñpe the ḳhvāb bilorīñ āñkhoñ ko
kos rahe haiñ ab tak ham us lamhe kī nādānī ko
jis chashme se paanī piinā us kā saudā kar denā
ġhaddārī kahte haiñ bhaa.ī aisī be-īmānī ko
ghuur rahā hai merā dil kab se ik ḳhālī pinjre ko
zindāñ se āvāz aatī hai aa jaao zindānī ko
kaise tanhā kamre se uTh kar bāzār meñ aa jaa.eñ
mushkil se yaad kiyā hai ham ne us vīrānī ko
Top Urdushayar.com