jise uḌaan ke badle thakān detā hai
ḳhudā use bhī to ūñchī uḌaan detā hai
usī ke hisse meñ aatī hai manzil-e-maqsūd
jo har qadam pe yahāñ imtihān detā hai
ajiib baat hai us pe sitam ki bārish hai
jo chāhtā hai tumheñ tum pe jaan detā hai
dahak rahī hai yahī aag mere siine meñ
qasam vo khā ke bhī jhūTā bayān detā hai
mazār-e-husn se aatī hai ye sadā 'rāhī'
vafā pe dekhiye ab kaun jaan detā hai