ye aañsū kis liye ruktā nahīñ hai
samundar to kahīñ pyāsā nahīñ hai
kahīñ pathrā na jaa.eñ us kī āñkheñ
bichhaḌ kar mujh se vo royā nahīñ hai
qayāmat dil pe na guzre to kahnā
tumhārā dil abhī TuuTā nahīñ hai
salāmat haiñ sabhī kamroñ ke shīshe
koī patthar abhī aayā nahīñ hai
nikal jaao kahīñ tum ai parindo
havā ne rāsta rokā nahīñ hai
kināra huuñ maiñ ik sūkhī nadī kā
koī dariyā mujhe samjhā nahīñ hai
adab se is liye hai duur 'rāhī'
buzurgoñ meñ abhī baiThā nahīñ hai