hamāre sar har ik ilzām dhar bhī saktā hai
vo mehrbāñ hai ye ehsān kar bhī saktā hai
chaman tū apnī bahāroñ pe itnā naaz na kar
shajar se husn kā zevar utar bhī saktā hai
vo jis ne ziist guzārī hai qaid-e-zulmat meñ
vo ik kiran se ujāle kī Dar bhī saktā hai
kahāñ tak aap lagā.eñge us pe zabt ke bāñdh
kabhī ye āñkhoñ kā dariyā biphar bhī saktā hai
ye ḳhaak o sañg hī kyā sat.h-e-āb par 'shārib'
hamārā naqsh-e-qadam hai ubhar bhī saktā hai