mohabbat kā jahāñ hai aur maiñ huuñ
mirā dārul-amāñ hai aur maiñ huuñ
hayāt-e-ġham nishāñ hai aur maiñ huuñ
musalsal imtihāñ hai aur maiñ huuñ
nigāh-e-shauq hai aur un ke jalve
shikast-e-nāgaghāñ hai aur maiñ huuñ
usī kā naam ho shāyad mohabbat
koī bār-e-girāñ hai aur maiñ huuñ
mohabbat be-sahārā to nahīñ hai
mirā dard-e-nihāñ hai aur maiñ huuñ
mohabbat ke fasāne allāh allāh
zamāne kī zabāñ hai aur maiñ huuñ
'qamar' taqlīd kā qaa.il nahīñ maiñ
mirā tarz-e-bayāñ hai aur maiñ huuñ