nazar hai jalva-e-jānāñ hai dekhiye kyā ho
shikast-e-ishq kā imkāñ hai dekhiye kyā ho
abhī bahār-e-guzishta kā ġham miTā bhī nahīñ
phir ehtimām-e-bahārāñ hai dekhiye kyā ho
qadam uThe bhī nahīñ bazm-e-nāz kī jānib
ḳhayāl abhī se pareshāñ hai dekhiye kyā ho
kisī kī raah meñ kāñTe kisī kī raah meñ phuul
hamārī raah meñ tūfāñ hai dekhiye kyā ho
ḳhirad kā zor hai ārā.ish-e-gulistāñ par
junūñ harīf-e-bahārāñ hai dekhiye kyā ho
jis ek shāḳh pe buniyād hai nasheman kī
vo ek shāḳh bhī larzāñ hai dekhiye kyā ho
hai aaj bazm meñ phir izn-e-ām saaqī kā
'qamar' hunūz musalmāñ hai dekhiye kyā ho