Sharib Mauranwi

jo apni chashm-e-tar se dil ka para chhoD jata hai

Sharib Mauranwi

jo apnī chashm-e-tar se dil kā paara chhoḌ jaatā hai
vahī mahfil meñ ġham kā isti.āra chhoḌ jaatā hai
myaañ ġhurbat meñ har ik be-sahārā chhoḌ jaatā hai
añdherā ho to saaya bhī hamārā chhoḌ jaatā hai
jidhar jalve bikharte haiñ udhar kartā nahīñ nazreñ
shikast-e-ḳhvāb ke Dar se nazāra chhoḌ jaatā hai
mujhe sairāb kartā jā agar tū ik samundar hai
faqat pyāse pe kyuuñ ilzām saarā chhoḌ jaatā hai
har ik hai mahv-e-hairat vo karishma-sāz hai aisā
sar-e-mahfil jo ik rañgīñ nazāra chhoḌ jaatā hai
maiñ akasr kashtī-e-mauj-e-balā par sair kartā huuñ
mujhe sāhil pe us kā ik ishāra chhoḌ jaatā hai
ajab hai merā mohsin bhī ki jaate vaqt vo akasr
mirī palkoñ pe ik raushan sitāra chhoḌ jaatā hai
Top Urdushayar.com