buuñd ashkoñ se agar lutf-e-ravānī māñge
bulbula āñkhoñ se ḳhūnāba-fishānī māñge
bahr-e-ulfat meñ chalā hai to pahle mastūl
tiir se aah ke kashti-e-duḳhānī māñge
nukta-e-vasl dam-e-arz qalam par rakkhe
bosa chāhe to lab-e-shauq zabānī māñge
tā-qayāmat dil-e-bedār sunā.e har roz
ḳhvāb-e-rāhat tirā gar roz kahānī māñge
dil to dil afa.i-e-gesū vo balā hai kāfir
is kā kaaTā koī af.ī bhī na paanī māñge
tire qadmoñ kī badaulat hai nishāñ turbat par
is se baḌh kar koī kyā mar ke nishānī māñge
us javāñ ke ġham-e-hijrāñ ne kiyā hai būḌhā
ḳhizr bhī dekh ke jis but ko javānī māñge
chaah meñ us mah-e-naḳhshab ke shab-o-roz haiñ ġharq
qaaz jis kā mah-e-kan.āñ se shabānī māñge
ḳhārij imkāñ se hai 'shahbāz' shahīdoñ kā shumār
koī kis kis ke liye marsiya-ḳhvānī māñge