vo Dar ke aage nikal jā.egā agar yūñhī
to jiit paañv ko chūmegī umr bhar yūñhī
barhana-pā mirī sāñseñ ragoñ ke nezoñ par
kareñgī kaise bhalā raqs umr bhar yūñhī
saroñ pe apne tamāzat kā bojh uThā.e hue
ye kaun mahv-e-safar hai Dagar Dagar yūñhī
ki jaise pyaas se lab jal rahe hoñ paanī ke
shikam kī aag se jaltī hai dopahar yūñhī