Sayad Mohammad Abdul Ghafoor Shahbaz

kahan nasib zamurrad ko surKH-rui ye

Sayad Mohammad Abdul Ghafoor Shahbaz

Patna, Bihar, India

1859-1908
kahāñ nasīb zamurrad ko surḳh-rūī ye
samajh meñ laal kī ab tak hinā nahīñ aa.ī
ḳhajil hai āñkhoñ se nargis gulāb gāloñ se
vo kaun phuul hai jis ko hayā nahīñ aa.ī
umaD rahā hai paḌā dil meñ shauq zulfoñ kā
ye jhuum jhuum ke kaalī ghaTā nahīñ aa.ī
ho jis se aage vo but ham se ham-suḳhan vaa.iz
kahīñ hadīs meñ aisī duā nahīñ aa.ī
zabāñ pe us kī hai har dam mirī balā aa.e
balā bhī aa.e to samjho balā nahīñ aa.ī
shab-e-firāq kā chhāyā huā hai rob aisā
bulā bulā ke thake ham qazā nahīñ aa.ī
nazar hai yaar kī 'shahbāz' kīmiyā-tāsīr
par apne hisse meñ ye kīmiyā nahīñ aa.ī
Top Urdushayar.com