Sayad Mohammad Abdul Ghafoor Shahbaz

anjam KHushi ka duniya mein sach kahte ho gham hota hai

Sayad Mohammad Abdul Ghafoor Shahbaz

Patna, Bihar, India

1859-1908
anjām ḳhushī kā duniyā meñ sach kahte ho ġham hotā hai
sābit hai gul aur shabnam se jo hañstā hai vo rotā hai
ham shauq kā naama likhte haiñ ki sabr ai dil kyuuñ rotā hai
ye kyā tarkīb hai ai zālim ham likhte haiñ tū dhotā hai
hai dil ik mard-e-āḳhir-bīñ apne āmāl par rotā hai
gar Duub ke dekho ashk nahīñ motī se kuchh ye pirotā hai
ghar is se ishq kā bantā hai dil saḳhtī se kyuuñ ghabrā.e
shīrīñ ye mahal uThvātī hai farhād ye patthar Dhotā hai
Thukrā kar naash har iisā kahtā hai naaz se ho barham
uTh jald khaḌe haiñ der se ham kin nīndoñ ġhāfil sotā hai
ham ro ro ashk bahāte haiñ vo tūfāñ baiThe uThāte haiñ
yuuñ hañs hañs kar farmāte haiñ kyuuñ mard kā naam Dubotā hai
kyā sañg-dilī hai ulfat meñ ham jis kī jaan se jaate haiñ
anjān vo ban kar kahtā hai kyuuñ jaan ye apnī khotā hai
le de ke saare aalam meñ hamdard jo pūchho ik dil hai
maiñ dil ke haal pe rotā huuñ dil mere haal pe rotā hai
dukh dard ne aisā zaar kiyā ik gaam bhī chalnā dūbhar hai
chaliye to jism-e-zār apnā ḳhud raah meñ kāñTe botā hai
vo umañg kahāñ vo shabāb kahāñ hue donoñ nazr-e-ishq-mizha
pūchho mat aalam dil kā mire nishtar sā koī chubhotā hai
Top Urdushayar.com