Sayad Mohammad Abdul Ghafoor Shahbaz

na apna baqi ye tan rahega na tan mein tab o tawan rahegi

Sayad Mohammad Abdul Ghafoor Shahbaz

Patna, Bihar, India

1859-1908
na apnā baaqī ye tan rahegā na tan meñ taab o tavāñ rahegī
agar judā.ī meñ jaañ rahegī tumhīñ batāo kahāñ rahegī
mizha ke tīroñ se chhān dil ko jo chhānñī ho nigah ko gahrī
khiñchī huī dil se kab talak yuuñ tirī bhavoñ kī kamāñ rahegī
ḳhudā ne muñh meñ zabān dī hai to shukr ye hai ki muñh se bolo
ki kuchh dinoñ meñ na muñh rahegā na muñh meñ chaltī zabāñ rahegī
bahār ke taḳht-o-tāj par bhī guloñ ko rote hī ham ne dekhā
ki gaaḌ kar ḳhār-o-ḳhas kā jhanDā chaman meñ ik din ḳhizāñ rahegī
dikhā.egā apnā jab vo qāmat machegī yaañ tarfa ik qayāmat
na vā.izoñ meñ ye zikr hogā na masjidoñ meñ azaañ rahegī
bajegā kūchoñ meñ yūñhī ghanTa azaañ yūñhī hogī masjidoñ meñ
na jab talak un ko tū milegā tamām āh-o-fuġhāñ rahegī
na deñge jab tak nigah ko dil ham qarār hāsil na hogā dil ko
kabhī na ham saañs le sakeñge uḌī huī ik sināñ rahegī
zabāñ pe 'shahbāz' kī haiñ jaarī mudām shīrīñ-laboñ kī bāteñ
ḳhudā ne chāhā to nok-e-ḳhāma hamesha ratb-ul-lisāñ rahegī
Top Urdushayar.com