Sharib Mauranwi

pahunch gaya tha wo kuchh itna raushni ke qarib

Sharib Mauranwi

pahuñch gayā thā vo kuchh itnā raushnī ke qarīb
bujhā charāġh to palTā na tīrgī ke qarīb
sulagtī ret pe bhī us kā hausla dekho
huī na pyaas kabhī ḳhema-zan namī ke qarīb
badan ke dasht meñ jab dafn ho gayā ehsās
vafā phaTaktī bhalā kaise aadmī ke qarīb
hamārī pyaas ke sūraj ne Daal kar kirneñ
kiyā hai gahre samundar ko tishnagī ke qarīb
jo zaḳhm-e-dil ko rafū kar rahā thā ashkoñ se
hamāre ba.ad na dekhā gayā kisī ke qarīb
bashar ne chāñd sitāroñ ko chhū liyā lekin
ye aadmī na kabhī aayā aadmī ke qarīb
hamāre bachchoñ ke lab pyaas se haiñ jhulse hue
hamārī laash bhī rakhnā na tum namī ke qarīb
ye kis ke naam se baḌhtī haiñ dhaḌkaneñ dil kī
ye kaun hai mire ehsās-e-zindagī ke qarīb
Top Urdushayar.com