Haidar Ali Aatish

bulbul ko Khaar Khaar-e-dabistan hai in dinon

Haidar Ali Aatish

Faizabad, Uttar pradesh, India

1778-1847
bulbul ko ḳhaar ḳhār-e-dabistāñ hai in dinoñ
har tifl kī baġhal meñ gulistāñ hai in dinoñ
zunnār-e-ishq but meñ rag-e-jāñ hai in dinoñ
nāqūs-e-barhaman dil-e-nālāñ hai in dinoñ
ābād merā ḳhāna-e-vīrāñ hai in dinoñ
sailāb mujh ġharīb kā mehmāñ hai in dinoñ
dāman hai apne haath meñ ik rashk-e-māh kā
pesh-e-nazar hilāl-e-garebāñ hai in dinoñ
bāġh-e-jahāñ meñ jo hai giraftār hai tirā
āzād ek sarv-e-gulistāñ hai in dinoñ
kahte haiñ ham zamīn meñ majnūñ kī ab ġhazal
har bait apnī ḳhāna-e-zindāñ hai in dinoñ
kāfir ho ai sanam jo ḳharīde na tū use
mehñdī ke mol ḳhūn-e-musalmāñ hai in dinoñ
hañgāma husn-o-ishq kā hai garm āj-kal bahut
dīvāna-e-parī hai jo insāñ hai in dinoñ
mastī kā un laboñ ke fasāna kahāñ nahīñ
majlis nahīñ vo jo nahīñ hairāñ hai in dinoñ
sadqe chakor hote haiñ ruḳhsār-e-yār ke
vo māh-e-chār-dah mah-e-tābāñ hai in dinoñ
aatā hai sair-e-bāġh ko vo gauhar-e-murād
phailā.e gul ke paas jo dāmāñ hai in dinoñ
qad sarv chehra gul hai to sumbul haiñ mū-e-yār
ghar ḳhāna baaġh hai jo vo mehmāñ hai in dinoñ
jauhar-shanās jam.a haiñ 'ātish' hai ma.arka
shamshīr hai vahī ki jo uryāñ hai in dinoñ
Top Urdushayar.com