Haidar Ali Aatish

hangam-e-naza mahw hun tere KHayal ka

Haidar Ali Aatish

Faizabad, Uttar pradesh, India

1778-1847
hañgām-e-naza.a mahv huuñ tere ḳhayāl kā
mushtāq huuñ farishta-e-sāhib-jamāl kā
pairāhan us javāñ ne jo pahnā hai chhāl kā
miltā nahīñ chaman meñ mizāj ik nihāl kā
ālūda be-gunāhoñ ke ḳhuuñ se hai teġh-e-charḳh
nā-fahmoñ ko gumāñ hai shafaq meñ hilāl kā
shāna baneñge ba.ad-e-fanā apne ustuḳhāñ
uqda khulegā gesuoñ ke baal baal kā
biinī suhail mushtarī o zohra gosh haiñ
qutub-e-shumāl-e-husn hai til tere gaal kā
kis kis bashar ko laa.ī hai duniyā fareb meñ
kyā kyā javāñ murīd hai us pīr-zāl kā
laatī hai vaañ qazā-o-qadar murġh-e-rūh ko
paanī jahāñ qafas kā hai daana hai jaal kā
amrad-parast hai to gulistāñ kī sair kar
har naunihāl rashk hai yaañ ḳhurd-sāl kā
ik dam maiñ jā milūñgā azīzān-e-rafta se
kyā arsa hai zamāna-e-māzī se haal kā
surḳh o safed rañg se hotā hai āshkār
vo jism-e-nāznīñ hai abiir o gulāl kā
ai dil qazā na aa.e idhar TikTikī na bāñdh
golī kā sāmnā hai ye nazzāra ḳhaal kā
bosa diye se husn meñ hogī kamī na yaar
hotā nahīñ zakāt se nuqsān maal kā
vo chashm hī nahīñ dil-e-vahshī kī fikr meñ
har turk ko hai shauq shikār-e-ġhazāl kā
zanjīr o tauq har baras aa kar pinhā ga.ī
dīvāna huuñ maiñ bād-e-bahārī kī chaal kā
roz-e-siyāh hijr meñ mere jale charāġh
parvānoñ ko nasīb huā din visāl kā
rone ke badle haal par apne hañsā kiye
parda huā na faash hamāre malāl kā
dikhlāyā be-naqāb jise banda ho gayā
vo rū-e-sāda-naqsh hai sāhib kamāl kā
kartī hai yaañ zabān-e-kamar yaar meñ kalām
ma.adūm hai javāb hamāre savāl kā
'ātish' lahad se uTThūñgā kahtā ye roz-e-hashr
mushtāq huuñ maiñ yaar ke husn-o-jamāl kā
Top Urdushayar.com