tasavvur se kisī ke maiñ ne kī hai guftugū barsoñ
rahī hai ek tasvīr-e-ḳhyālī rū-ba-rū barsoñ
huā mehmān aa kar raat bhar vo sham.a-rū barsoñ
rahā raushan mire ghar kā charāġh-e-ārzū barsoñ
barābar jaan ke rakkhā hai us ko marte marte tak
hamārī qabr par royā karegī aarzū barsoñ
chaman meñ jā ke bhūle se maiñ ḳhasta-dil karāhā thā
kiyā kī gul se bulbul shikva-e-dard-e-gulū barsoñ
agar maiñ ḳhaak bhī hūñgā to 'ātish' gard-bād-āsā
rakhegī mujh ko sar-gashta kisī kī justujū barsoñ