Sharib Mauranwi

jo aansuon ki zaban ko miyan samajhne lage

Sharib Mauranwi

jo āñsuoñ kī zabāñ ko miyāñ samajhne lage
samundaroñ kā vo dard-e-nihāñ samajhne lage
ye jab se jaanā ki zahr-e-badan nikaltā hai
ham āñsuoñ ko bhī jins-e-girāñ samajhne lage
jo Tapke dāman-e-hastī pe ashk-e-ḳhūñ mere
to ahl-e-zar use gul-kāriyāñ samajhne lage
saroñ pe oḌh ke mazdūr dhuup kī chādar
ḳhud apne sar pe use sā.ebāñ samajhne lage
shajar ko apnī zamīñ se lipaT ke rahnā hai
ye baat uḌte parinde kahāñ samajhne lage
maiñ chup huā thā ki Takrāv ḳhatm ho jaa.e
vo mere sabr ko kamzoriyāñ samajhne lage
vo jab se aa ga.e mehmān ban ke ā.ankhoñ meñ
ham apne dil ke khañDar ko makāñ samajhne lage
Top Urdushayar.com