tāq-e-abrū haiñ pasan-e-tab.a ik dil-ḳhvāh ke
umr hotī hai basar gumbad meñ bismillāh ke
jā.ūñ kyūñ-kar bin bulā.e us but-e-dil-ḳhvāh ke
be-talab koī nahīñ pahuñchā huzūr allāh ke
rū-e-nūrānī kā tere ho gayā hai shak jo yaar
raat bhar dauḌā huuñ kyā kyā pīchhe pīchhe maah ke
shām-e-vasl aa.ī idhar maujūd thī sub.h-e-firāq
kam ghaḌī se bhī pahar haiñ is shab-e-kotāh ke
dāġh-e-ishq-e-husn kā luqma nivāla hai kaḌā
sair-dil haiñ khāne vaale is ġham-e-jāñ-kāh ke
nā-tavānī se hai hālat ġhair hijr-e-yār meñ
dam nikal jaatā hai apnā saath har ik aah ke
ishq-e-but meñ koh par jā jā ke sar paTkā kiye
paañv ko sadme rahe past-o-buland-e-rāh ke
sālahā ishq-e-zanaḳhdāñ ne lahū paanī kiyā
muddatoñ ro.e haiñ jā jā kar kināre chaah ke
hashr tak yuuñ hī raheñge ġhamza-o-andāz-o-nāz
ishq-e-ālī-manzilat se husn-e-vālā-jāh ke
jā nikaltā hai jo mujh sā tishna-e-dīdār-e-husn
zikr-e-yūsuf karne lagte haiñ kabūtar chaah ke
manzil-e-maqsūd meñ chal kar nikālūñgā unheñ
ābloñ meñ ye jo haiñ paivast kāñTe raah ke
us but-e-be-dīñ kī zulfoñ kā ishāra hai yahī
is balā meñ vo phaseñ āshiq hoñ jo allāh ke
kab samā.ī hai nazar meñ raushnī-e-āftāb
chashm-e-bīnā rakhte haiñ zarre tirī dargāh ke