ye kis rashk-e-masīhā kā makāñ hai
zamīñ yaañ kī chahārum āsmāñ hai
ḳhudā pinhāñ hai aalam āshkārā
nihāñ hai ganj vīrāna ayaañ hai
dil-e-raushan hai raushan-gar kī manzil
ye ā.īna sikandar kā makāñ hai
takalluf se barī hai husn-e-zātī
qabā-e-gul meñ gul-būTā kahāñ hai
pasījegā kabhī to dil kisī kā
hamesha apnī aahoñ kā dhuāñ hai
ba-rañg-e-bū huuñ gulshan meñ maiñ bulbul
baġhal ġhunche ke merā āshiyāñ hai
shagufta rahtī hai ḳhātir hamesha
qanā.at bhī bahār-e-be-ḳhizāñ hai
chaman kī sair par hotā hai jhagḌā
kamar merī hai dast-e-bāġhbāñ hai
bahut aatā hai yaad ai sabr-e-miskīñ
ḳhudā ḳhush rakkhe tujh ko tū jahāñ hai
ilāhī ek dil kis kis ko duuñ maiñ
hazāroñ but haiñ yaañ hindostāñ hai
yaqīñ hotā hai ḳhushbūī se is ke
kisī gul-rū kā ġhuncha itr-dāñ hai
vatan meñ apne ahl-e-shauq kī tarah
safar meñ roz-o-shab reg-e-ravāñ hai
sahar hove kahīñ shabnam kare kuuch
gul o bulbul kā dariyā darmiyāñ hai
sa.ādat-mand qismat par haiñ shākir
humā ko maġhz-e-bādām ustuḳhvāñ hai
dil-e-betāb jo is meñ gire haiñ
zaqan jānāñ kā paara kā kuaañ hai
jaras ke saath dil rahte haiñ nālāñ
mire yūsuf kā āshiq kārvāñ hai
na kah rindoñ ko harf-e-saḳht vaa.iz
durusht ahl-e-jahannum kī zabāñ hai
qad-e-mahbūb ko shā.er kaheñ sarv
qayāmat kā ye ai 'ātish' nishāñ hai