Haidar Ali Aatish

KHwahan tere har rang mein ai yar hamin the

Haidar Ali Aatish

Faizabad, Uttar pradesh, India

1778-1847
ḳhvāhāñ tire har rañg meñ ai yaar hamīñ the
yūsuf thā agar tū to ḳharīdār hamīñ the
be-dād kī mahfil meñ sazā-vār hamīñ the
taqsīr kisī kī ho gunahgār hamīñ the
va.ada thā hamīñ se lab-e-bām aane kā honā
saaye kī tarah se pas-e-dīvār hamīñ the
kañghī tirī zulfoñ kī hamīñ par thī muqarrar
ā.īna dikhāte tujhe har baar hamīñ the
ne.amat thī tire husn kī hisse meñ hamāre
tū kān-e-malāhat thā ḳharīdār hamīñ the
saudā-zada zulfoñ kā na thā apne sivā ek
āzād do-ālam thā giraftār hamīñ the
tū aur ham ai dost the yak-jān do qālib
thā ġhair sivā apne jo thā yaar hamīñ the
bīmār-e-mohabbat thā sivā apne na koī
ik mustahiq-e-sharbat-e-dīdār hamīñ the
be apne bahaltī thī tabī.at na kisī se
dil-soz hamīñ the tire ġham-ḳhvār hamīñ the
ik jumbish-e-mizhgāñ se ġhash aatā thā hamīñ ko
do nargis-e-bīmār ke bīmār hamīñ the
jab chāhte the lete the āġhosh meñ tum ko
majbūr se rah jaate the muḳhtār hamīñ the
ham sā na koī chāhne vaalā thā tumhārā
marte the hamīñ jaan se bezār hamīñ the
bad-nām mohabbat ne tirī ham ko kiyā thā
rusvā-e-sar-e-kūcha-o-bāzār hameñ the
dil Thokareñ khātā thā na har gaam kisī kā
ik ḳhaak meñ milte dam-e-raftār hamīñ the
bhaḌkāne se 'ātish' ko jalāne lage yā to
altāf-o-ināyat ke sazā-vār hamīñ the
Top Urdushayar.com