turra use jo husn-e-dil-āzār ne kiyā
andher gesū-e-siyah-e-yār ne kiyā
gul se jo sāmnā tire ruḳhsār ne kiyā
mizhgāñ ne vo kiyā ki jo kuchh ḳhaar ne kiyā
nāz-o-adā ko tark mire yaar ne kiyā
ġhamza nayā ye turk sitamgār ne kiyā
afshāñ se kushta abru-e-ḳhamdār ne kiyā
jauhar se kaam yaar kī talvār ne kiyā
qāmat tirī dalīl qayāmat kī ho ga.ī
kaam āftāb-e-hashr kā ruḳhsār ne kiyā
merī nigah ke rashk se rauzan ko chāñdī
raḳhna ye qasr-e-yār kī dīvār ne kiyā
saudā-e-zulf meñ mujhe aayā ḳhayāl-e-ruḳh
mushtāq raushnī kā shab-e-tār ne kiyā
hasrat hī bosa-e-lab-e-shīrīñ kī rah ga.ī
mīThā na muñh ko tere namak-ḳhvār ne kiyā
fursat milī na girya se ik lahza ishq meñ
paanī mire lahū ko is āzār ne kiyā
sīmāb kī tarah se shagufta huā mizāj
iksīr mujh ko mere ḳharīdār ne kiyā
qad meñ to kar chukā thā vo ahmaq barābarī
majbūr sarv ko tirī raftār ne kiyā
hairat se pā-ba-gil hue rauzan ko dekh kar
dīvār ham ko yaar kī dīvār ne kiyā
patthar ke aage sajda kyā tū ne barhaman
kāfir tujhe tire but-e-pindār ne kiyā
kāvish mizha ne kī ruḳh-e-dilbar kī diid meñ
pā-e-nigāh se bhī ḳhalish ḳhaar ne kiyā
āshiq kī tarah maiñ jo lagā karne bandagī
āzād daaġh de ke ḳharīdār ne kiyā
e.ajāz kā ojab lab-e-jāñ-baḳhsh se nahīñ
paiġhambar us ko mus.haf-e-ruḳhsār ne kiyā
turra kī tarah se dil-e-āshiq ko pech meñ
kis kis lapeT se tirī dastār ne kiyā
āñkhoñ ko band kar ke tasavvur meñ baaġh ke
gulshan qafas ko murġh-e-giraftār ne kiyā
nālāñ huā maiñ us ruḳh-e-rañgīñ ko dekh kar
bulbul mujhe nazāra-e-gulzār ne kiyā
haklā ke mujh se baat jo us dil-rubā ne kī
kis husn se adā use takrār ne kiyā
ulTā udhar naqāb to parde paḌe idhar
āñkhoñ ko band jalva-e-dīdār ne kiyā
lazzat ko tark kar to ho duniyā kā rañj duur
parhez bhī davā hai jo bīmār ne kiyā
nā-sāf ā.īna ho to bad-tar hai sañg se
raushan ye haal ham ko jalākār ne kiyā
halqa kī nāf-e-yār ke tārīf kyā karūñ
gol aisā dā.era nahīñ parkār ne kiyā
dīvān-e-husn-e-yār kī 'ātish' jo sair kī
dīvāna bait abru-e-ḳhamdār ne kiyā