Haidar Ali Aatish

hasrat-e-jalwa-e-didar liye phirti hai

Haidar Ali Aatish

Faizabad, Uttar pradesh, India

1778-1847
hasrat-e-jalva-e-dīdār liye phirtī hai
pesh-e-rozan pas-e-dīvār liye phirtī hai
is mashaqqat se use ḳhaak na hogā hāsil
jaan abas jism kī be-kār liye phirtī hai
dekhne detī nahīñ us ko mujhe be-hoshī
saath kyā apne ye dīvār liye phirtī hai
kisī fāsiq ke tū muñh ko na karegī kaalā
kyuuñ siyāhī ye shab-e-tār liye phirtī hai
tū nikaltā nahīñ shamshīr-ba-kaf ai qātil
maut mere liye talvār liye phirtī hai
māl-e-muflis mujhe samjhā hai junūñ ne shāyad
vahshat-e-dil sar-e-bāzār liye phirtī hai
ka.aba o dair meñ vo ḳhāna-barandāz kahāñ
gardish-e-kāfir-o-dīñ-dār liye phirtī hai
rañj likkhā hai nasīboñ meñ mire rāhat se
ḳhvāb meñ bhī havas-e-yār liye phirtī hai
chaal meñ is kī sarāpā hai kisī kī taqlīd
kabk ko yaar kī raftār liye phirtī hai
dar-e-yār aa.e Thikāne lage miTTī merī
dosh par apne sabā baar liye phirtī hai
hañste haiñ dekh ke majnūñ ko gul-e-sahrā.ī
pā-barahna talab-e-ḳhār liye phirtī hai
saaya sā husn ke ham-rāh hai ishq-e-bebāk
saath ye jins-e-ḳharīdār liye phirtī hai
kisī sūrat se nahīñ jaañ ko farār ai 'ātish'
tapish-e-dil mujhe lāchār liye phirtī hai
Top Urdushayar.com