Haidar Ali Aatish

ya-ali kah kar but-e-pindar toDa chahiye

Haidar Ali Aatish

Faizabad, Uttar pradesh, India

1778-1847
yā-alī kah kar but-e-pindār toḌā chāhiye
nafs-e-ammāra kī gardan ko maroḌā chāhiye
tañg aa kar jism ko ai ruuh chhoḌā chāhiye
tifl-tabaoñ ke liye miTTī kā ghoḌā chāhiye
zulf ke saude meñ apne sar ko phoḌā chāhiye
jab balā kā sāmnā ho muñh na moḌā chāhiye
ghūrtī hai tum ko nargis aañkh phoḌā chāhiye
gul bahut hañste haiñ kaan un ke maroḌā chāhiye
āj-kal hotā hai apnā ishq-e-pinhāñ āshkār
pak chukā hai ḳhuub ab phūTe ye phoḌā chāhiye
māñgtā huuñ maiñ ḳhudā se apne dil se dāġh-e-ishq
bādshāh-e-husn ke sikke kā toḌā chāhiye
un laboñ ke ishq ne hai jaise dīvāna kiyā
baḌ apnī hai ik lāloñ kā joḌā chāhiye
de rahā hai gesu-e-mushkīn saude ko jagah
kis ke aage jā ke apne sar ko phoḌā chāhiye
bāda-e-gul-gūñ ke shīshe kā huuñ saa.il sāqiyā
saath kaifiyyat ke uḌtā mujh ko ghoḌā chāhiye
ye sadā aatī hai raftār-e-samand-e-umr se
vo bhī ghoḌā hai koī jis ko ki koḌā chāhiye
qat.a miqrāz-e-ḳhamoshī se zabāñ ko kījiye
qufl de kar ganj par miftāh toḌā chāhiye
apne dīvāne kā dil le kar ye kahtā hai vo tifl
ye khilaunā hai isī qābil ki toḌā chāhiye
zulfeñ rū-e-yār par be-vaj.h lahrātī nahīñ
kuchh na kuchh zahr agle ye kaale kā joḌā chāhiye
bāġhbāñ se chhup ke gul-chīnī jo kī to kyā kiyā
aañkh bulbul kī bachā kar phuul toḌā chāhiye
fasl-e-gul meñ beḌiyāñ kaaTī haiñ mere paañv kī
haath meñ haddād ke sone kā toḌā chāhiye
bāġh-e-ālam meñ yahī merī duā hai roz-o-shab
ḳhaar ḳhaar ishq-e-gul-e-ruḳhsār toḌā chāhiye
ishq kī mushkil-pasandī se huā ye āshkār
ḳhūbsūrat ko ġhurūr-e-husn thoḌā chāhiye
zamzame sun kar mire sayyād-e-gul-rū ne kahā
zab.h kiije aise bulbul ko na chhoḌā chāhiye
piir ho 'ātish' kafan kā sāmnā hai an-qarīb
tauba kiije dāman-e-tar ko nichoḌā chāhiye
Top Urdushayar.com