Haidar Ali Aatish

teri jo yaad ai dil-KHwah bhula

Haidar Ali Aatish

Faizabad, Uttar pradesh, India

1778-1847
terī jo yaad ai dil-ḳhvāh bhūlā
billāh bhūlā vallāh bhūlā
furqat kī shab meñ jāñ-soz dil ne
uff uff kiyā jo aah aah bhūlā
kaj rakh na pā ko jā dil se ġhāfil
pher us ne khāyā jo raah bhūlā
zunnār Daalā tasbīh phīkī
ishq-e-sanam meñ allāh bhūlā
ḳhur ne girāyā us ko nazar se
jo zarra terī dargāh bhūlā
zulf-e-rasā ko samjhā jo af.ī
chūkā vo qasr-e-kotāh bhūlā
dekhe se terā rū-e-munavvar
ham mahr bhūlā ham maah bhūlā
mahrūm rakhā saaqī ne ham ko
apne gadā ko jam-jāh bhūlā
but-ḳhāna chhoḌā baaz aa.e but se
vo shahr bhūlā vo shaah bhūlā
shart vafā kī kis be-vafā se
'ātish' sā ārif-e-āgāh bhūlā
Top Urdushayar.com