hamāre jism ke andar bhī koī rahtā hai
magar ye kaise kaheñ ham ki vo farishta hai
ajiib shaḳhs hai vo pyaas ke jazīroñ kā
pahan ke dhuup sadā maqtaloñ meñ rahtā hai
nazar hai din ke chamakte libās par sab kī
qabā-e-shām ke paivand kaun gintā hai
hamārī uryāñ hathelī pe ab bhī shām-o-sahar
ye kaun hai jo guhar āñsuoñ ke rakhtā hai
bichhaḌ ga.e to akele raheñge ham 'shārib'
ki sārasoñ sā hamārā tumhārā rishta hai