Haidar Ali Aatish

jigar ko dagh main manind-e-lala kya karta

Haidar Ali Aatish

Faizabad, Uttar pradesh, India

1778-1847
jigar ko daaġh maiñ mānind-e-lāla kyā kartā
labālab apne lahū kā piyāla kyā kartā
milā na sarv ko kuchh apnī rāstī meñ phal
kulāh kaj jo na kartā to laala kyā kartā
jarīda meñ rah-e-pur-ḳhūn-e-ishq se guzrā
jaras se qāfile meñ bahs-e-nāla kyā kartā
junūn-e-ishq meñ rahnā thā imtiyāz na kuchh
chakor tauq-e-gulū mah kā haala kyā kartā
bachā kiyā use toḌā jo sar se dariyā ke
habāb le ke ye ḳhālī piyāla kyā kartā
na khāyā ġhussa kabhī ḳhvānche se qismat ke
phañse jo halq meñ maiñ vo nivāla kyā kartā
balā-e-bad huī dāġhoñ se sardī-e-kāfūr
sulūk nek zarā.at se zhāla kyā kartā
diyā navishta na us but ko dil ke tuude meñ
ḳhudā ke ghar kā bhalā maiñ qabāla kyā kartā
safā huā na riyāzat se nafs-e-ammāra
koī najāsat-e-sag kā izāla kyā kartā
lagī hai aag jo kambal kabhī uḌāyā hai
tire barahna se garmī do-shāla kyā kartā
na kartī aql agar muft āsmāñ kī sair
koī ye saath varaq kā risāla kyā kartā
mirī taraf jo unheñ khīñchtī kashish dil kī
butoñ ko brahmanoñ kā havāla kyā kartā
kisī ne mol na pūchhā dil-e-shikasta kā
koī ḳharīd ke TuuTā piyāla kyā kartā
urūs-e-dahr se bū-e-vafā nahīñ aatī
bhalā jigar kā maiñ us ke izāla kyā kartā
mah-e-do-hafta bhī hotā to lutf thā 'ātish'
akele pī ke sharāb-e-do-sāla kyā kartā
Top Urdushayar.com